اردو हिंदी
Zist honi tajjubaat hai ab | Shaahi Shayari
zist honi tajjubaat hai ab

Ghazal

Zist honi tajjubaat hai ab

Meer Asar

;

zist honi tajjubaat hai ab
mar hi jaana bas ek baat hai ab

daur mein tere hai wo kuchh andher
nahin malum din hai raat hai ab

dil hai zinda na ji hi jita hai
zindagi bad-tar-az-mamat hai ab

itne be-did be-shunid hue
na tawajjoh na iltifat hai ab

hijr kaisa visal ho bil-farz
kuchh hi surat ho mushkilat hai ab

ji hi lena ba-lutf hai manzur
is qadar jo tafazzulat hai ab

jite ji to raha visal muhaal
mar chuke par tawaqquat hai ab

kuchh na puchho 'asar' ki bechaini
na sukunat hai ne sabaat hai ab