zist hai ek masiyat soz-e-dili tere baghair
han mohabbat bhi hai ek aaludgi tere baghair
sham-e-gham tere tasawwur hi se aankhon mein charagh
warna mere ghar mein ho aur raushni tere baghair
ye jahan tanha bhala kya mujh ko de pata shikast
main ne kab khaya fareb-e-dosti tere baghair
raat ke sina mein hai ek zaKHm jis ka nam chand
ek sunahri ju-e-KHun hai chandni tere baghair
har-nafas hai pai-ba-pai nakaamiyon ka samna
zist hai ek mustaqil sharmindagi tere baghair
de gai dhoka magar shaistagi-e-gham meri
aa raha hai dil pe ilzam-e-KHushi tere baghair
ilm-o-aql-o-nam-o-jah-o-zor-o-zar sab hech ishq
ho ke sab kuchh bhi nahin kuchh aadmi tere baghair
dil ki shadabi ki zamin hai tu hi ai yaad-e-dost
aa na pai gham ke phulon mein nami tere baghair
ek ek lamhe mein jab sadiyon ki sadiyan kaT gain
aisi kuchh raaten bhi guzri hain meri tere baghair
zindagi 'mulla' ki hai mahjub nam-e-zindagi
rah gai hai shairi hi shairi tere baghair
Ghazal
Zist hai ek masiyat soz-e-dili tere baghair
Anand Narayan Mulla