zinat-e-unwan hai mazmun aalam-e-tauhid ka
matla-e-diwan na kyun matla bane KHurshid ka
ye sawad-e-nama hai ya surma-e-tasKHir hai
hai bayaz-e-safha ya hai nur subh-e-id ka
dair mein hai wo na hai kabe mein aur hai sab kahin
talib-e-nazzara ko gar ho saliqa did ka
ho jo us ke nam par aaghaz pura ho wo kaam
hai bar-arinda wahi har shaKHs ki ummid ka
jo mila us se use kahta hai aalam mar gaya
nam murda rakh diya hai zinda-e-jawed ka
lan-tarani hi rahi us shoKH ko ushshaq se
hausla paida na kis kis ko hua go did ka
taza mazmun 'sehr' apni tab-e-mauzun se nikal
ho na tu tarz-e-suKHan mein aashna taqlid ka
Ghazal
Zinat-e-unwan hai mazmun aalam-e-tauhid ka
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni