zihanaton ko kahan karb se farar mila
jise nigah mili us ko intizar mila
wo koi rah ka patthar ho ya hasin manzar
jahan bhi rasta Thahra wahin mazar mila
koi pukar raha tha khuli fazaon se
nazar uThai to chaaron taraf hisar mila
har ek sans na jaane thi justuju kis ki
har ek dayar musafir ko be-dayar mila
ye shahr hai ki numaish lagi hui hai koi
jo aadmi bhi mila ban ke ishtihaar mila
Ghazal
Zihanaton ko kahan karb se farar mila
Nida Fazli