اردو हिंदी
Zidon ko apni tarasho aur un ko KHwab karo | Shaahi Shayari
zidon ko apni tarasho aur un ko KHwab karo

Ghazal

Zidon ko apni tarasho aur un ko KHwab karo

Madan Mohan Danish

;

zidon ko apni tarasho aur un ko KHwab karo
phir us ke baad hi manzil ka intiKHab karo

mohabbaton mein nae qarz chaDhte rahte hain
magar ye kis ne kaha hai kabhi hisab karo

tumhein ye duniya kabhi phul to nahin degi
mile hain kanTe to kanTon ko hi gulab karo

siyah raato chamakti nahin hai yun taqdir
uThao apne charaghon ko mahtab karo

kai sadaen Thikana talash karti hui
faza mein gunj rahi hain unhen kitab karo

kisi ke rang mein Dhalna hi hai agar 'danish'
to apne aap ko thoDa bahut KHarab karo