zer-e-zamin rahun ki tah-e-asman rahun
ai justuju-e-yar bata main kahan rahun
masruf-e-shukr-e-nemat-e-pir-e-mughan rahun
allah mujh ko yun hi pilae jahan rahun
ghul kar bhi jaanib-e-dar-e-pir-e-mughan rahun
mauj-e-sharab-e-nab banun aur rawan rahun
ya-rab hariq-e-shoala-e-ishq-e-butan rahun
dozaKH ki aag le ke muqim-e-jinan rahun
zalim ye bazm-e-husn ka achchha riwaj hai
tu shama ho ke bhi na jale main tapan rahun
ai chashm-e-yar maut ka pahlu bacha ke tu
aisi nigah Dal ki main nim-jaan rahun
aab-e-hayat pi ke KHizar kya yahan rahe
main Than lun to kuchh na piyun aur yahan rahun
ban jaen meri tarz-e-fana ki kahaniyan
aisa miTa ki sahib-e-nam-o-nishan rahun
saqi wo KHas-taur ki talim de mujhe
us mai-kade mein jaun to pir-e-mughan rahun
'muztar' wajud-e-zat ne ghar tak bhi le liya
jab KHud wo har jagah hai to ab main kahan rahun

Ghazal
Zer-e-zamin rahun ki tah-e-asman rahun
Muztar Khairabadi