zer-e-zamin dabi hui KHak ko aasan kaho
harf-e-KHarab-o-KHasta ko zid hai ki dastan kaho
aab-e-siyah pher do bab-e-wafa ke naqsh par
shahr-e-ana mein jab kabhi qissa-e-digaran kaho
kaun sharik-e-dard tha aatish-e-sard ke siwa
rakh haqir thi magar rakh ko mehrban kaho
dur KHala ke dasht mein misl-e-sharar sabt hain
kis ne unhen KHafa kiya kyun hue bad-guman kaho
sang-e-saza ka KHauf bhi bistar-e-jaan se uTh gaya
saltanat-e-jalal ko TuTi hui kaman kaho
aaina-e-sarab hai gard pas-e-habab hai
Thahri hui hai zindagi phir bhi ise rawan kaho
sham hui to jal uThe raat Dhali to bujh gae
hum bhi yunhi fana hue hum ko bhi raegan kaho

Ghazal
Zer-e-zamin dabi hui KHak ko aasan kaho
Shamim Hanafi