zer-e-naqab aab-gun hae-re un ki jaliyan
hum ko to bas Dubo gain nil ke kaTre waliyan
tegh jo rakkhi san par sudh jo sambhaali us ne Tuk
wazaen nai tarashiyan tarzen nai nikaliyan
hum pe to barse subh tak KHanjar o tegh o tir hi
abr-e-bala se kam nahin hijr ki raaten kaliyan
shole ki jun madad kare dud-e-naKHast-e-KHar-o-KHas
missi se aur dhuan huin honTon ki us ki laliyan
mu-kamaran-e-bagh-e-husn lachken jo misl-e-shaKH-e-bed
dil ko na kyun hilawen phir un ki ye nau-nahaaliyan
ek sharar-e-ah ka meri bais-e-shor-o-shar hua
jugnu ko dekh jis tarah laDke bajawen taliyan
sahib-e-neamat is tarah rahte hain sab se surKH-ru
su-e-zamin jhuki rahen mewe ki jaise Daliyan
kis se paDhawe koi KHat insha hi jis ka ho ghalat
yani ki us ne be-nuqat bheji hain likh ke galiyan
kunj-e-qafas mein bagh se aae the jo nae asir
sauten unhon ki sari raat mere jigar mein saliyan
'mushafi' us ki bazm mein bhuke hain naz ke jo log
galiyon ki jagah unhon milti hain kya sahaaliyan
Ghazal
Zer-e-naqab aab-gun hae-re unki jaliyan
Mushafi Ghulam Hamdani