zer-e-mehrab na baala-e-makan bolti hai
KHamushi aa ke sar-e-KHalwat-e-jaan bolti hai
ye mera wahm hai ya mujh ko bulate hain wo log
kan bajte hain ki mauj-e-guzaran bolti hai
lo sawal-e-dahan-e-basta ka aata hai jawab
tir sargoshiyan karte hain kaman bolti hai
ek main hun ki is aashob-e-nawa mein chup hun
warna duniya mere zaKHmon ki zaban bolti hai
hu ka aalam hai giraftaron ki aabaadi mein
hum to sunte the ki zanjir-e-giran bolti hai
dard ke bab mein timsal-gari hai KHamosh
ban bhi jati hai to taswir kahan bolti hai
Ghazal
Zer-e-mehrab na baala-e-makan bolti hai
Irfan Siddiqi