zer-e-lab un ka muskura dena
dil mein shahnaiyan baja dena
jaane wale ye baat yaad rahe
hum ko aasan nahin bhula dena
kahin be-asra na kar de hamein
is qadar tera aasra dena
hum ko rone ki to ijazat do
agar aata nahin hansa dena
ho ke nakaam na-umid na hon
tu mujhe itna hausla dena
lakh 'hatim' ho koi lakh karan
kaun de sakta hai tera dena
sau bahaaron ki hai bahaar 'jigar'
un ka rah rah ke muskura dena
Ghazal
Zer-e-lab un ka muskura dena
Jigar Jalandhari