اردو हिंदी
Zer-e-lab raha nala dard ki dawa ho kar | Shaahi Shayari
zer-e-lab raha nala dard ki dawa ho kar

Ghazal

Zer-e-lab raha nala dard ki dawa ho kar

Tabish Dehlvi

;

zer-e-lab raha nala dard ki dawa ho kar
aah ne sukun baKHsha aah-e-na-rasa ho kar

kar diya tayyun se zauq-e-ijz ko aazad
naqsh-e-sajda ne mere tera naqsh-e-pa ho kar

fart-e-gham se behis hun gham hai gham na hone ka
dard kar diya paida dard ne dawa ho kar

ho chuke hain sil bazu hai na himmat-e-parwaz
hum riha na ho pae qaid se riha ho kar

hasraten nikalti hain meri jaan jati hai
dam labon pe aata hai harf-e-muddaa ho kar

gham pe gham mujhe de kar gham se kar diya mahrum
kya mila zamane ko sabr-azma ho kar

ranj-e-aish hai baqi ab na aish-e-gham 'tabish'
kuchh KHabar nahin mujh ko rah gaya hun kya ho kar