zer-e-lab hum ne tishnagi kar li
ek samundar se dosti kar li
rah takte rahe hawaon ki
phir charaghon ne KHud-kushi kar li
waqt ki chaal dekhne ke liye
hum ne raftar mein kami kar li
kaam koi na ho saka hum se
hum ne har fikr peshgi kar li
hum ne har gham chhupa liya us se
zabt us ne bhi har KHushi kar li
raat-bhar koste hain duniya ko
subh hote hi dosti kar li
Ghazal
Zer-e-lab humne tishnagi kar li
Nishant Shrivastava Nayab