zehn zinda hai magar apne sawalat ke sath
kitne uljhao hain zanjir-e-riwayat ke sath
kaun dekhega yahan din ke ujalon ka sitam
ye sitare to chale jaenge sab raat ke sath
jaane kis moD pe manzil ka pata bhul gae
hum ki chalte hi rahe gardish-e-haalat ke sath
waqt karta hai bhala kis se yahan husn-e-suluk
wo bhi is daur mein qanun-e-makafat ke sath
wo to KHanjar tha gale jis ne lagaya hum ko
warna pesh aata hai ab kaun mudaraat ke sath
hadse hain to unhen pesh bhi aana hai zarur
wo bhi us shoKH se taqrib-e-mulaqat ke sath
kaun sunta hai yahan dil ki kahani 'tanwir'
wo bhi KHushbuon ke mauhum ishaaraat ke sath

Ghazal
Zehn zinda hai magar apne sawalat ke sath
Tanveer Ahmad Alvi