zehn par bojh raha, dil bhi pareshan hua
in baDe logon se mil kar baDa nuqsan hua
mat ab ke bhi charaghon ko hui hai lekin
chaak is bar hawa ka bhi gareban hua
oDhe phirta hun shahadat ki lahu-rang qaba
rang tera tha so wo hi meri pahchan hua
aadatan aankh chhalak uTThi hai hanste hanste
tu mere dost bila-wajh pareshan hua
tez pani ki si aawaz gale se nikli
aur sun kar ise KHanjar baDa hairan hua
shaKH-e-dil par na khila ab ke baras ek bhi phul
kaisa aabaad tha ye bagh jo viran hua
dost kya ab to munafiq bhi koi sath nahin
sukhe phulon se bhi mahrum ye gul-dan hua
aaj is darja mohazzab jo nazar aata hai
ye wo insan hai sadiyon mein jo insan hua
dil se jata nahin 'tariq' kisi kafir ka KHayal
hum musalman hue dil na musalman hua
Ghazal
Zehn par bojh raha, dil bhi pareshan hua
Tariq Qamar