zehn-o-dil par sawar rahti hai
shairi bhi usi ke jaisi hai
mat kaise ana ko deni hai
main ne tarkib soch rakkhi hai
azm jata hai le ke manzil tak
rah to sath sath chalti hai
main ne dekha hai waqt badle to
rang taswir bhi badalti hai
main ne mana ki der se hi sahi
KHamushi apna kaam karti hai
mera taid karna lazim hai
baat un ki zaban se nikli hai
hum ko to sarhadon ne banT diya
us ka lahore meri dilli hai
be-KHudi hai ajib shai 'adil'
ret mein machhliyan pakaDti hai
Ghazal
Zehn-o-dil par sawar rahti hai
Kamran Adil