zehn-o-dil mein kuchh na kuchh rishta bhi tha
ai mohabbat main kabhi yakja bhi tha
mujh mein ek mausam kabhi aisa na tha
aisa mausam jis mein tu mahka bhi tha
tujh se milne kis tarah hum aae hain
raste mein KHun ka dariya bhi tha
kaj-kulahon par kahan mumkin sitam
han magar us ne mujhe chaha bhi tha
aaj KHud saya-talab hai waqt se
ye wahi ghar hai ki jo saya bhi tha
jaane kis sahra-e-gham mein kho gaya
hae wo aansu ki jo dariya bhi tha

Ghazal
Zehn-o-dil mein kuchh na kuchh rishta bhi tha
Ummeed Fazli