zehn mein ho koi manzil to nazar mein le jaun
rah-rau ke na agar gard safar mein le jaun
dil se bach jaen agar dagh-e-jigar mein le jaun
kyun charaghon ko sar-e-sham sahar mein le jaun
koi aahaT na koi aks na manzar na hawa
kis ko mahsus karun kis ko KHabar mein le jaun
baam-o-dar par nazar aate hain thakan ke aasar
apna ye bojh kisi dusre ghar mein le jaun
aur kuchh KHun ho KHush-rang to dil mein rokun
aur kuchh KHak ho pamal to sar mein le jaun
jalte manzar se juda hona paDega kuchh ko
tishnagi tujh ko agar dida-e-tar mein le jaun
Ghazal
Zehn mein ho koi manzil to nazar mein le jaun
Tasawwur Zaidi