zehn mein daere se banata raha dur hi dur se muskuraata raha
main samundar nahin chand ko ilm hai raat bhar phir bhi mujh ko bulata raha
aankh mein KHema-zan nil-gun wusaten apna pahla qadam hi KHalaon mein hai
jo jafa ke jazira-numaon mein hai dil ka us KHak-e-KHasta se nata raha
kaj-adai ki chadar se munh Dhanp kar sone wala sar-e-sham hi so gaya
KHushk yaadon ke patton bhare khet mein sanp sa raat bhar sarsaraata raha
der tak zard aandhi si chalti rahi sans bujhti rahi shama jalti rahi
jaan pighalti rahi raat Dhalti rahi main na ruTha magar wo manata raha
an-suni si sadaon ke ghere mein tha dekhte dekhte ghup andhere mein tha
wo mujhe pa ke duniya ke baKHshe hue sab ke sab khoTe sikke chalata raha
aazmaish mein hai wo ghaDi id ki chand ne jis ke aane ki taid ki
ek phaTe pairahan par pasine ki tah ek ghar KHushbuon mein nahata raha
Ghazal
Zehn mein daere se banata raha dur hi dur se muskuraata raha
Ghulam Mohammad Qasir