zehn ki qaid se aazad kiya jae use
jis ko pana nahin kya yaad kiya jae use
tang hai ruh ki KHatir jo ye virana-e-jism
tum kaho to adam-abaad kiya jae use
zindagi ne jo kahin ka nahin rakkha mujh ko
ab mujhe zid hai ki barbaad kiya jae use
ye mera sina-e-KHali chhalak uTThega abhi
mere andar agar ijad kiya jae use
wo gali puchhti hai dar-ba-dari ke ahwal
han to phir waqif-e-rudad kiya jae use
Ghazal
Zehn ki qaid se aazad kiya jae use
Salim Saleem