zehn ke canwas ko phaila kar
tu har ek masale pe socha kar
mere kandhe pe aaj udasi phir
so gai apne baal bikhra kar
yun bichhaDna to koi baat nahin
KHub roya tha wo bhi ghar ja kar
meri jalti udas aankhon par
kabhi chupke se honT rakkha kar
aage ek bagh ka jazira hai
phul toDenge naw Thahra kar
apne haalat se nibaT na saka
KHud-kushi kar gaya wo ghabra kar
sab aqide hi be-asas hue
aagahi aur shuur ko pa kar
Ghazal
Zehn ke canwas ko phaila kar
Umar Farhat