zehn-e-rasa ko auj-e-falak tak uDan de
jo dil mein jaguzin ho wo tarz-e-bayan de
harf-e-suKHan de aisa ki durr-e-yatim ho
de tamkanat zaban mein lahje mein shan de
arz-o-sama ki wusaten ab mujh pe tang hain
mujh ko nai zamin naya aasman de
tufan abr-o-baad mein sab hain ghire hue
kashti ko de to kis ki KHabar baadban de
dar pe hain tere KHun ke ye tajiran-e-zar
mat yun kisi ke waste tu apni jaan de
mazi ki saaton ko bulata hun is tarah
jaise koi ujaD gharon mein azan de
ye jism ye bhabhuka qaba tar-tar si
'iqbaal' apne haal pe thoDa to dhyan de
Ghazal
Zehn-e-rasa ko auj-e-falak tak uDan de
Iqbal Haidri