zehn-e-rasa ki girhen magar kholne lage
phir yun hua ki log hamein taulne lage
aahista baat kar ki hawa tez hai bahut
aisa na ho ki sara nagar bolne lage
umr-e-rawan ko par kiya tum ne aur hum
rassi ke pul pe panw rakha Dolne lage
dastak hawa hi de ki ye bandish tamam ho
sune gharon mein koi to ras gholne lage
main ban gaya guhar to mera is mein dosh kya
be-wajh mujh ko KHak mein tum rolne lage
Ghazal
Zehn-e-rasa ki girhen magar kholne lage
Wazir Agha