اردو हिंदी
Zeb usko ye aashob-e-gadai nahin deta | Shaahi Shayari
zeb usko ye aashob-e-gadai nahin deta

Ghazal

Zeb usko ye aashob-e-gadai nahin deta

Syed Amin Ashraf

;

zeb us ko ye aashob-e-gadai nahin deta
dil mashwara-e-nasiya-sai nahin deta

kis dhund ki chadar mein hai lipTi koi aawaz
dastak ke siwa kuchh bhi sunai nahin deta

hai ta-hadd-e-imkan koi basti na bayaban
aankhon mein koi KHwab dikhai nahin deta

aalam bhi qafas rang hai aisa ki nazar ko
is dam-e-tahayyur se rihai nahin deta

yaadon ko sula deta hai sae mein shajar ke
wo hausla-e-dard-e-rasai nahin deta

dil us ka hatheli pe hai mere liye lekin
hathon mein mere dast-e-hinai nahin deta

aaraish-e-jaan ke liye kafi nahin wahshat
mujh ko to koi zaKHm dikhai nahin deta

is ishq mein kuchh shaiba-e-hirs bhi hoga
main quwwat-e-baatin ki safai nahin deta

raushan hai shab-e-hijr ba-andaz-e-talluq
wo mehr-e-nazar dagh-e-judai nahin deta