اردو हिंदी
Zawal mein bhi raha dil-nashin nazara mera | Shaahi Shayari
zawal mein bhi raha dil-nashin nazara mera

Ghazal

Zawal mein bhi raha dil-nashin nazara mera

Alam Khursheed

;

zawal mein bhi raha dil-nashin nazara mera
mere hi sath gira TuT ke sitara mera

kisi pe ramz meri baat ki khuli hi nahin
na kaam aaya mere koi istiara mera

yaqin kisi ko na aaya main Dub sakta hun
samajh rahe the agarche sabhi ishaara mera

nadi ki tarah kinara bhi kaTta hun main
kisi hisar mein hota nahin guzara mera

ye baat jaan ke hairat nahin hui mujh ko
ki meri aag se raushan raha sitara mera

na rok pai mujhe maujon ki koi sazish
rawan-dawan hai abhi jhil mein shikara mera

abhi se samt badalne laga main kyun 'alam'
abhi to dur bahut dur hai kinara mera