zawal-e-fikr-o-fan tha aur main tha
ajab qaht-e-suKHan tha aur main tha
purane lafz tafsiren nai thin
ghazal ka bankpan tha aur main tha
ajab rudad thi mere safar ki
libas-e-be-shikan tha aur main tha
saza thi imtihan tha kya pata ek
sulagta agni ban tha aur main tha
wahi us ki shikayat thi purani
wahi mera chalan tha aur main tha
wahi miTTi wahi pani hawa thi
wahi mera watan tha aur main tha
wo ek lamha ki mere sar pe 'asif'
bahut dushwar-kun tha aur main tha

Ghazal
Zawal-e-fikr-o-fan tha aur main tha
Iqbal Asif