zawal-e-azmat-e-insan ka marsiya hun main
sar-e-kashida pe dastar-e-be-ana hun main
sag-e-zamana se aage nikal gaya hun main
ab apne samne tanha khaDa hua hun main
mere wajud mein dar aaya kaisa sannaTa
ki reg-zar mein gum-gashta ek sada hun main
Dubo na de kahin mujh ko bhi tishnagi ka safar
ki reg reg sarabon ka silsila hun main
idhar se ho ke koi mehrban hawa guzre
dayar-e-habs mein sadiyon se ghuT raha hun main
jise mili hai saza harf-e-haq sunane ki
salib-e-lab pe wo Thahri hui sada hun main
khaDa hua hun harifon mein sar jhukae hue
ki apne aap se ab ke bahut juda hun main
na koi aks-e-munawwar na manzar-e-KHush-rang
ye kaise KHwab ke bistar pe so raha hun main
ajib aandhi hai ye jism-o-jaan ki aandhi bhi
mujhe sambhaal bikharne se Dar raha hun main
kabhi na chhu saki bab-e-asar dua meri
ajib qahr-e-musalsal mein mubtala hun main
mujhe barasne ki taufiq de mere allah
ki abr ban ke zamane pe chha gaya hun main
na chhu saki mujhe hirs-o-hawas ki parchhain
KHuda ka shukr qanaat se aashna hun main
rafugaran-e-hunar 'naz' be-namak the magar
phir apne zaKHm ko shadab dekhta hun main
Ghazal
Zawal-e-azmat-e-insan ka marsiya hun main
Naz Quadri