zauq-e-ulfat ab bhi hai rahat ka arman ab bhi hai
dil pareshan ruh tarsan chashm-e-giryan ab bhi hai
kab sambhaale se sambhalta hai dil-e-pur-iztirab
aah-e-sozan lab par ab bhi sina baryan ab bhi hai
sai koshish ke liye maidan hai ab bhi faraKH
azm-e-rasiKH ki zarurat hum ko han han ab bhi hai
tuKHm mein roidagi har naKHl mein baalidgi
mausam-e-sarma-o-garma baad-o-baran ab bhi hai
KHalq mein maujud hain ab bhi wahi lal-o-gohar
tishna-kaami-e-sadaf ko abr-e-naisan ab bhi hai
sham bhi hai subh bhi hai aur din bhi raat bhi
mah-e-taban ab bhi hai mahr-e-daraKHshan ab bhi hai
aashiq o mashuq bhi hain wasl o hijr o rashk bhi
mahr ulfat tegh o KHanjar tir paikan ab bhi hai
hai wahi diwangi ab bhi wahi shoridgi
jaib o daman hadiya-e-KHar-e-bayaban ab bhi hai
shauq o zauq ab bhi hai baqi murda-dil hum hain to hain
apne dil ko hasrat-e-sair-e-gulistan ab bhi hai
ishq ki surat jo badle to ho aashiq bhi kuchh aur
ye jafa-o-jaur ka har waqt KHwahan ab bhi hai
aa gai piri magar ab tak hai tu mahw-e-KHayal
ham-sabaq tiflon ka tu tifl-e-dabistan ab bhi hai
garmi-e-mahfil wahi hai jama hain ahbab bhi
hasti-e-parwana o sham-e-shabistan ab bhi hai
ghair-mumkin hai badal jae kabhi qanun-e-haq
hukm-e-yazdan ab bhi hai ijra-e-farman ab bhi hai
kyun musalmanon ne badla haal apni qaum ka
tha jo quran bas wahi maujud quran ab bhi hai
qashqa baala-e-jabin zunnar hai baala-e-dosh
ye bata iman se kya tu musalman ab bhi hai
ittiqa o zohd se dil-bastagi baqi nahin
dawa-e-islam jaisa pahle tha han ab bhi hai
kho diye ayyam-e-piri ne tere hosh-o-hawas
ai bashir-e-be-nawa kuchh dil mein arman ab bhi hai
Ghazal
Zauq-e-ulfat ab bhi hai rahat ka arman ab bhi hai
Bashiruddin Ahmad Dehlvi