zauq-e-suKHan ko ab to tere aag lagana achchha hai
muflis ghar ki haalat hai aur sher sunana achchha hai
meri sachchi chahat dekhi kah baiTha wo mahfil mein
mere sab diwanon mein se ye diwana achchha hai
tir-e-nazar se aisa mare dil ka panchhi tab na le
duniya ghar ke sayyaadon se us ka nishana achchha hai
shaiKH to masjid mein jata hai andar se dil kala hai
sachche aabid jahan khaDe hun wo but-KHana achchha hai
aisi chaal kahan duje ki kyun tu aisa kahta hai
waise tu ne parde mein mujh ko pahchana achchha hai
auron ko talqin kare hai lekin 'sarwar' naseh ka
mai-KHane mein chupke chupke aana-jaana achchha hai

Ghazal
Zauq-e-suKHan ko ab to tere aag lagana achchha hai
Sarwar nepali