zauq-e-sujud le gaya mujh ko kahan kahan
lekin mere nasib mein wo aastan kahan
baKHsha hai tere naqsh-e-qadam ne jo KHak-e-ku
wo husn-e-dil-nawaz sar-e-kahkashan kahan
main sochta hun aariz-o-gesu ko dekh kar
Thahrega subh-o-sham ka ye karwan kahan
KHud se bhi ho saki na mulaqat umr-bhar
apni talash le gai mujh ko kahan kahan
ijad kar rahe hain wo jaur-o-sitam nae
jaur-o-sitam se dabta hai azm-e-jawan kahan
meri nigah-e-shauq gadagar bani hui
jalwon ki bhik mang rahi hai kahan kahan
hai baz yun to ab bhi dar-e-mai-kada 'nadim'
pahli si wo nawazish-e-pir-e-mughan kahan

Ghazal
Zauq-e-sujud le gaya mujhko kahan kahan
Raj Kumar Soori Nadeem