zauq-e-sarmasti ko mahw-e-ru-e-jaanan kar diya
kufr ko is tarah chamkaya ki iman kar diya
tu ne ye ejaz kya ai soz-e-pinhan kar diya
is tarah phunka ki aaKHir jism ko jaan kar diya
jis pe meri justuju ne Dal rakkhe the hijab
be-KHudi ne ab use mahsus o uryan kar diya
kuchh na hum se ho saka is iztirab-e-shauq mein
un ke daman ko magar apna gareban kar diya
go nahin rahta kabhi parde mein raaz-e-ashiqi
tum ne chhup kar aur bhi us ko numayan kar diya
rakh diye dair o haram sar marne ke waste
bandagi ko be-niyaz-e-kufr-o-iman kar diya
aariz-e-nazuk pe un ke rang sa kuchh aa gaya
in gulon ko chheD kar hum ne gulistan kar diya
in buton ki surat-e-zeba ko 'asghar' kya kahun
par KHuda ne wae nakaami musalman kar diya
Ghazal
Zauq-e-sarmasti ko mahw-e-ru-e-jaanan kar diya
Asghar Gondvi