zauq-e-parwaz mein sabit hua sayyaron se
aasman zer-e-zamin hai meri yalghaaron se
kaise qatil hain jinhen pas-e-wafa hai na jafa
qatl karte hain to aghyar ki talwaron se
rah ke sahil pe ho kis tarah kisi ko malum
kashtiyan kaise nikal aati hain manjdhaaron se
gul hue jate hain jalte hue derina charagh
aaina-KHanon ki girti hui diwaron se
hum mohabbat ko bas itna hi samajhte hain 'farid'
ju-e-shir aai hai bahti hui kohsaron se
Ghazal
Zauq-e-parwaz mein sabit hua sayyaron se
Fareed Ishrati