zauq-e-nazzara liye hum bhi KHabar tak aae 
shab ke pahlu se uThe aur sahar tak aae 
bu-e-gul baad-e-saba raqs-e-sharar tak aae 
rang hona tha hamein KHun-e-jigar tak aae 
abr-e-rahmat hai to shabnam ki tarah se utre 
rang-e-KHushbu ki hawa arz-e-hunar tak aae 
is se pahle hi baras jata hai ek abr-e-karam 
panw ki dhul uThe aur mere sar tak aae 
kyun pareshan hai tu ai mere gum-karda-e-rah 
rah dushwar hai lekin mere ghar tak aae 
pesh-KHema tha yahi fath-o-zafar ka shayad 
zer hote hue lashkar jo zabar tak aae
        Ghazal
Zauq-e-nazzara liye hum bhi KHabar tak aae
Khalid Jamal

