zauq-e-nazar ko izn-e-nazara na mil saka
tanha kabhi wo anjuman-ara na mil saka
hum par to jald khul gaya sahil ka sab bharam
achchhe rahe wo jin ko kinara na mil saka
yak-tarfa rabta hi nibhana paDa hamein
un ki taraf se koi ishaara na mil saka
tum bhi qusur-war nahin qissa muKHtasar
mera tumhaare sath sitara na mil saka
shahron ki KHak chhani khangale hain dasht o dar
lekin hamein suragh hamara na mil saka
main bhi thi KHud-pasand nahin is mein shak koi
aksar to par mizaj tumhaara na mil saka
ai kash sathiyon se wo apne kabhi kahe
'shabnam' sa koi mujh ko dobara na mil saka
Ghazal
Zauq-e-nazar ko izn-e-nazara na mil saka
Shabnam Shakeel