zauq-e-gunah o azm-e-pasheman liye hue
kya kya hunar hain hazrat-e-insan liye hue
kufr o KHirad ko ras na aaegi zindagi
jab tak junun hai mishal-e-insan liye hue
hun un ke samne magar un par nazar nahin
sai-e-talab hai azm-e-gurezan liye hue
dil ko sukun-e-pasti-e-sahil se kya gharaz
har azm hai bulandi-e-tufan liye hue
gulshan ke dil mein aaj bhi mahfuz hain wo phul
murjha gae jo dagh-e-bahaaran liye hue
aa hi gae wo arz-e-nadamat ko ai 'shakil'
lalin labon pe KHanda-e-giryan liye hue
Ghazal
Zauq-e-gunah o azm-e-pasheman liye hue
Shakeel Badayuni