zauq-e-didar-e-tamasha-bar ruswai hua 
KHud tamasha ban gaya jo bhi tamashai hua 
qarya qarya DhunDhti hai ruh-e-laila qais ko 
najd ke sahra mein phir aisa na saudai hua 
jis lahu se dil mein raushan dard ki mashal rahi 
wo lahu ek bewafa ke ruKH ki zebai hua 
jaan kar hum kya karenge chhoD is qisse ko ab 
kaun sachcha ishq mein tha kaun harjai hua 
KHud-sari mein apne sae se jo lipTe rah gae 
un ghazalon ka muqaddar dasht-e-tanhai hua 
raushni ki ek kiran bhi ab to qismat mein nahin 
chhin gain aankhen to phir ehsas-e-binai hua 
jo zaban par la na sakte the ayan sab par hua 
fan hamara bais-e-tazhik-o-ruswai hua 
hai junun ke faiz se ye jumbish-e-pa warna kab 
KHar-zaron se ilaj-e-abla-pai hua 
kya tawaqqoa ab rakhen 'iqbaal' is duniya se hum 
har qadam par bhai ka dushman jahan bhai hua
        Ghazal
Zauq-e-didar-e-tamasha-bar ruswai hua
Iqbal Haidri

