zau-bar isi samt hue shams-o-qamar bhi
us shoKH ne phera ruKH-e-pur-nur jidhar bhi
miTti hai kahin dil se shab-e-gham ki siyahi
hoti hai kahin hijr ke maron ki sahar bhi
hain donon jahan ek hi tanwir ke partaw
hai ek hi jalwa jo idhar bhi hai udhar bhi
nikli thi tere jalwa-e-rangin ki KHabar ko
gum ho ke wahin rah gai kambaKHt nazar bhi
hoti hi nahin subh nikharta hi nahin nur
hai Dubi hui shab ki siyahi mein sahar bhi
kuchh un ki hasin yaad ki shamen thin farozan
kuchh nur-fishan dil mein raha dagh-e-jigar bhi
samjhen na 'jalis' aap hamein hech ki hum mein
hain aib hazaron to hazaron hain hunar bhi
Ghazal
Zau-bar isi samt hue shams-o-qamar bhi
Brahma Nand Jalees