zaruri kab hai ki har kaam iKHtiyari karen
ab apne-ap ko itna na KHud pe tari karen
ye injimad bhi TuTega dekhna ek din
hum e'timad se pahle to KHud ko jari karen
koi bhi khel ho hairan ab nahin karta
na jaane kaun se kartab nae madari karen
bulawa arsh se aata hai gar to aata rahe
jo KHak-zade hi Thahre to KHaksari karen
hai tishnagi se taKHayyul mein taqat-e-parwaz
huzur mujh ko na sairabiyon se bhaari karen
kasif hum hain sarasar magar latif hai wo
to us ke waste kya KHud ko KHud se aari karen
lagam khinch ke baiThe hain be-niyaz se hum
samand-e-shauq ki ab chahe jo sawari karen
ata kiya gaya sahra is ek shart ke sath
'suhail' hum na kabhi wahshaton se yari karen
Ghazal
Zaruri kab hai ki har kaam iKHtiyari karen
Suhail Akhtar