zarurat kuchh ziyaada ho na jae
samundar aur gahra ho na jae
ye dhun ye mauj le Dube na mujh ko
bagula gharq-e-sahra ho na jae
hawaen sar-barahna phir rahi hain
qaba-e-gul tamasha ho na jae
abhi kuchh tir tarkash mein bhi honge
purana zaKHm achchha ho na jae
qayamat ki ghaDi hai aaj suraj
sawa neze se uncha ho na jae
wahi imkan jis se Dar rahe hain
wahi imkan paida ho na jae
meri har baat sachchi ho rahi hai
'najib' ek hashr barpa ho na jae

Ghazal
Zarurat kuchh ziyaada ho na jae
Najeeb Ahmad