zarron ki baaton mein aane wala tha
main sahra se rabt baDhane wala tha
barish ummidon par pani pher gai
main rishton ko dhup lagane wala tha
phir yaad aaya dur bahut hi dur ho tum
main pagal aawaz lagane wala tha
jaane kaise raat amawas ki utri
main kaghaz par chand banane wala tha
ek kiran phir mujh ko wapas khinch gai
main bas jism se bahar aane wala tha
us se bichhaDne ki tariKH to yaad nahin
han jaDon ka mausam aane wala tha
Thik samay par hi mujh ko irfan hua
main ghar chhoD ke ban mein jaane wala tha

Ghazal
Zarron ki baaton mein aane wala tha
Vikas Sharma Raaz