اردو हिंदी
Zarron ka mehr-o-mah se yarana chahiye | Shaahi Shayari
zarron ka mehr-o-mah se yarana chahiye

Ghazal

Zarron ka mehr-o-mah se yarana chahiye

Ejaz Siddiqi

;

zarron ka mehr-o-mah se yarana chahiye
be-nuriyon ko nur se chamkana chahiye

KHwabon ki naw aur samundar ka madd-o-jazr
Takra ke pash pash use ho jaana chahiye

nishtar-zani to shewa-e-arbab-e-fan nahin
in dil-jalon ko baat ye samjhana chahiye

ho raqs zindagi ke jahannam ke ird-gard
parwana ban ke kis liye jal jaana chahiye

khoden pahaD aur baramad ho sirf ghas
misron ko is qadar bhi na uljhana chahiye

fankar aur fan ke taqazon se na-balad
ehsas-e-kamtari hai to laD jaana chahiye

nam-e-husain le ke haqaeq se ru-kashi
aison ko qabl-e-maut hi mar jaana chahiye