zarra zarra pighalne wala tha
sara manzar badalne wala tha
sabr hum se na ho saka warna
apni zid se wo Talne wala tha
zabt karte to ek ek zarra
raaz apna ugalne wala tha
tum andheron se Dar gae yun hi
warna suraj nikalne wala tha
tum ne achchha kiya jo tham liya
warna main kab sambhalne wala tha
jo raha ek harif ki manind
wo mere sath chalne wala tha
zehn mein wo jo aks tha kab se
lakh shaklon mein Dhalne wala tha

Ghazal
Zarra zarra pighalne wala tha
Balbir Rathi