zarra bhi agar rang-e-KHudai nahin deta
andha hai tujhe kuchh bhi dikhai nahin deta
dil ki buri aadat hai jo miTta hai buton par
wallah main un ko to burai nahin deta
kis tarah jawani mein chalun rah pe naseh
ye umr hi aisi hai sujhai nahin deta
girta hai usi waqt bashar munh ke bal aa kar
jab tere siwa koi dikhai nahin deta
sun kar meri fariyaad wo ye kahte hain 'shair'
is tarah to koi bhi duhai nahin deta
Ghazal
Zarra bhi agar rang-e-KHudai nahin deta
Agha Shayar Qazalbash