zargar-o-haddad KHush hon wo karen tadbir hum
tauq-e-zar tum pahno pahnen aahani zanjir hum
aur diwanon se rakhte hain zara tauqir hum
Dalte hain aap apne panw mein zanjir hum
kufr-o-din ke qaede donon ada ho jaenge
zabh wo kafir kare munh se kahen takbir hum
yun hi KHush karte hain dil apna umid-e-wasl mein
khinchte hain ek ja apni teri taswir hum
aa gaya jis din KHayal-e-joshish-e-diwanagi
chaak kar Dalenge apna nama-e-taqdir hum
sun to o zalim bhala ye bhi koi insaf hai
laeq-e-altaf aada qabil-e-tazir hum
wasl mere un ke hoga kuchh ab is mein shak nahin
kah do aamin de chuke is KHwab ki tabir hum
rose ka jhagDa uThae kaun kar lete hain aaj
imtihan-e-kawish-e-qatil tah-e-shamshir hum
kyun na mustaghni rahen fazl-e-KHuda se ai 'nasim'
rakhte hain mulk-e-suKHan ki waqai jagir hum
Ghazal
Zargar-o-haddad KHush hon wo karen tadbir hum
Naseem Dehlvi