zarf to dekhiye mere dil-e-shaidai ka
jam-e-mai ban gaya ek mast-e-KHud-arai ka
ji mein aata hai ki phulon ki uDa dun KHushbu
rang uDa lae hain zalim teri ranai ka
main abhi un ko shanasa-e-mohabbat kar dun
kash mauqa to mile un se shanasai ka
bhul jaoge yahan aa ke tum apna aalam
tum ne dekha nahin gosha meri tanhai ka
tum ne kaba to banaya hai 'sharaf' ke dil ko
hukm is kabe mein do sab ko jabin-sai ka
Ghazal
Zarf to dekhiye mere dil-e-shaidai ka
Sharaf Mujaddidi