اردو हिंदी
Zarf se baDh ke ho itna nahin manga jata | Shaahi Shayari
zarf se baDh ke ho itna nahin manga jata

Ghazal

Zarf se baDh ke ho itna nahin manga jata

Abbas Dana

;

zarf se baDh ke ho itna nahin manga jata
pyas lagti hai to dariya nahin manga jata

chand jaisi bhi ho beTi kisi muflisi ki to
unche ghar walon se rishta nahin manga jata

dosti kar ke hawa se jo jala den ghar ko
un charaghon se ujala nahin manga jata

apne kamzor buzurgon ka sahaara mat lo
sukhe peDon se to saya nahin manga jata

peT bharte hain jo mange hue TukDe kha kar
un ke hathon se niwala nahin manga jata

bhik bhi mango to tahzib ka kasa le kar
hath phaila ke KHazana nahin manga jata

hai ibaadat ke liye shart aqidat 'dana'
bandagi ke liye sajda nahin manga jata