اردو हिंदी
Zarf hai kis mein ki wo sara jahan le kar chale | Shaahi Shayari
zarf hai kis mein ki wo sara jahan le kar chale

Ghazal

Zarf hai kis mein ki wo sara jahan le kar chale

Aazim Kohli

;

zarf hai kis mein ki wo sara jahan le kar chale
hum to duniya se faqat ek dard-e-jaan le kar chale

aadmi ko chahiye taufiq chalne ki faqat
kuchh nahin to guzre waqton ka dhuan le kar chale

jab bahaaren bewafa niklen to kis ummid par
intizar-e-gul ki hasrat baghban le kar chale

kab muqaddar ka kahan kaisa koi manzar bane
hum hatheli par lakiron ke makan le kar chale

rahbari ka kuchh saliqa hai na manzil ki KHabar
kaun si jaanib ye mir-e-karwan le kar chale

dekhte hain zindagi ko apne hi andaz se
hum jidhar ko chal paDe ek dastan le kar chale

zulmaten tarik shab ki dur karne ke liye
baadalon se hum ai 'azim' bijliyan le kar chale