zard peDon pe sham hai giryan
ji udasi ke dasht mein hairan
nim-raushan siyahiyan har su
aur hawaen sukut par KHandan
Thahre pani ke sard shishe mein
guzre mausam ke aks hain larzan
sab ke honTon pe jam gain baaten
sab ki aankhon mein raat nauha-KHwan
rabt rishton ke rang hain phike
KHwab qisse kahaniyan be-jaan
jo tha raste ki raushni 'fikri'
wo bhi nazron se ho gaya pinhan
Ghazal
Zard peDon pe sham hai giryan
Parkash Fikri

