zard patton ko hawa sath liye phirti hai
dam-gazida hain qaza sath liye phirti hai
rakh ho jae na faqon ke jahannam mein hayat
be-kasi apni chita sath liye phirti hai
man ke honTon se thi nikli dam-e-ruKHsat jo dua
mujh ko ab tak wo dua sath liye phirti hai
aas ki rakh mein DhunDen nai ummid koi
zindagi bim-o-raja sath liye phirti hai
sach ka hai qaht yahan jhuT ka bazar hai garm
ab hamein mauj-e-fana sath liye phirti hai
ek patthar hai bahut jhil ke sannaTe ko
KHamushi koh-e-nida sath liye phirti hai
apne sae se gurezan nahin ek tu hi 'rabab'
shahr bhar ko ye waba sath liye phirti hai
Ghazal
Zard patton ko hawa sath liye phirti hai
Zafar Rabab