zard patton ko daraKHton se juda hona hi tha
hum ki dariya hain samundar ki ghiza hona hi tha
aur kab tak be-samar rakhti KHizan peDon ke hath
rut badal jaana thi ye jangal hara hona hi tha
rokne se kab hawa ke narm jhonke ruk sake
band darwazon ko ek din nim-wa hona hi tha
dhul kab tak jhonke ek dusre ki aankh mein
ek din to jhuT sach ka faisla hona hi tha
tez dhaaron se bichhaD kar un kinaron par 'najib'
mauj-e-dariya ki tarah be-dast-o-pa hona hi tha

Ghazal
Zard patton ko daraKHton se juda hona hi tha
Najeeb Ahmad