اردو हिंदी
Zard mausam mein bhi ek shaKH hari rahti hai | Shaahi Shayari
zard mausam mein bhi ek shaKH hari rahti hai

Ghazal

Zard mausam mein bhi ek shaKH hari rahti hai

Hashim Raza Jalalpuri

;

zard mausam mein bhi ek shaKH hari rahti hai
dil ke gulshan mein koi sabz pari rahti hai

tishna-lab kaun hai wo jis ke liye nahr-e-furaat
meri palkon ki munDeron pe dhari rahti hai

mustaqil KHana-badoshi ka koi ajr nahin
panw se lipTi mere dar-ba-dari rahti hai

ai mere dil ke makin kuchh nahin tabdil hua
tum jahan rahte the shorida-sari rahti hai

jism ke bhed to khul jate hain dhire dhire
ruh se ruh ki to parda-dari rahti hai

dost ho jata mera sara zamana 'hashim'
mere honTon pe magar baat khari rahti hai